Tumhari Yaadein
Zindagi itni aage bad chuki hai Kuch bhi sochne ka waqt nahin Par jab bhi mein apne aap ke saath baiththi hoon Mujhe sirf tumhari hi yaad athi hai In tanhaiyon mein tum iss tarah ghul gaye ho Ki yeah rang dil se mitutha nahin Aaj bhi hum apni zindagi ke bare mein sochthe hain Toh tum aag ki simton se sulag kar aa jaathe ho Tumhari bahoon ki garmi aaj bhi mujhe thandak dilathi hai Tumhari saanson ki aahat aaj bhi dil dhadkaathi hai Kahan gaye woh din, jab tumhe mere bina neend nahin aati thi Kahan gaye woh karvatein, jo meri baahon se shuru aur khatam hote they Aaj iss akelepan mein ek baath ka faisla ho gaya Tum bhale hi kitni bhi dhoor kyun na chale jao Kisi aur ki baahon mein panah kyun na le lo Mujhse mera woh pyar, tum chah kar bhi chcheen nahin sakthe Tumhara woh pyar, main bhool kar bhi tumhe lauta nahin sakthi